song lyrics / Shubham SB Billion / Street Life: Real Talk of Street lyrics  | FRen Français

Street Life: Real Talk of Street lyrics

Performer Shubham SB Billion

Street Life: Real Talk of Street song lyrics by Shubham SB Billion official

Street Life: Real Talk of Street is a song in Hindi

[intro]

Yeah

Desi Hip Hop

SB Billion

Ye hai Street life

[Chorus]

Kese batau dil ka ye dard,
Kese likhu syaaahee se shabd,
Likh dun Ontho ki hansi ya sine ka dard,
Aankhon me base ye khawab
Udna chahate hai ye parinde aaj

[Vers 1]

Sadakon ki zindagi,
In galeeyon ke har kone ki ek kahani hai,
Har muskurahat ke peechhe,
Chhupi takleefon ki kahani hai,
Raat ke andhere mein,
Dilon ke chirag roshan kiye,
Rukavatien khadi har kadam pe,
Mushkilein milegi har mod pe,
Har din ek nayi kahani hai,
Har mod pe ek naya raasta,
Har koi yahan apna,
Yahan Nafrat ek-dusre se anjani hai

[Chorus]

Kese batau dil ka ye dard,
Kese likhu syaaahee se shabd,
Likh dun Ontho ki hansi ya sine ka dard,
Aankhon me base ye khawab
Udna chahate hai ye parinde aaj

[Vers 2]

Ye sadak ki baat,
Jeb me gandhi to milega sath,
Yahan vahi hai khas
Yahan Roz hoti wardaat,
Pichhli raat ki baat
Ham char dost Ghar ja rahe the yaar
Ye us raaste ki baat,
Ladki chhed rahe the kuch badmaas,
Mene kaha madad Karo yaar,
Fir ho gayi wardaat,
Ek dost Shahar se tadipar, dusra lockup me yaar, tisre ki maa bimar, mai fasa finance ke chakkar me yaar,
Fir ho gayi ek or wardaat

[Bridge]
Jahan sapne bante hain raaste,
Aur raaste ban jaate hain ghar,
Yeh street life hai,
Har sapna hai apni manjil se bekhabar,

[Vers 3]

Udaan bharta aya, sapnon ki parawaz,
Kabhi haar nhi mani,
Har chunauti me khada,
Jeevan ki rahon me,
Dhup me bhigte,
Apne sapno ki nayi raahen bichhate,
Is jangal me jeeta,
Mai apne jaisa hun ek
Ye Street hai ya koi narak,
Yahan jeene ki kala sikhi,
Gande nalon mein,
Chamakti hai asliyat
Ye jindgi ke Rahon me parchhai bhi
Sath chhod deti hai,
Yaad kar Tera bura wakt

[Chorus]

Kese batau dil ka ye dard,
Kese likhu syaaahee se shabd,
Likh dun Ontho ki hansi ya sine ka dard,
Aankhon me base ye khawab
Udna chahate hai ye parinde aaj

[Vers 4]

Yahan neta bole jhoot, sache lagte sare vade
5 sal me vo pahli bar aya tha,
Gandi basti gandi gali dekh kar,
Vo dur se hi hath hilaya tha,
Sare Log unko Foolon ki mala pahna rahe,
Are bhai aap itna kyun muskura rahe ho,

Kya apke bete ki job lag gayi ?,
Sarkaari ya private hai,
Are dono hi nhi mil rhi,
Ohhh so sad,
Ghar pe degree pade pade dhool kha rahi hai,
Chal Bhai baad me baat karta hu
Kal ek aur interview ki taiyari hai

[Chorus]

Kese batau dil ka ye dard,
Kese likhu syaaahee se shabd,
Likh dun Ontho ki hansi ya sine ka dard,
Aankhon me base ye khawab
Udna chahate hai ye parinde aaj
Lyrics copyright : legal lyrics licensed by Lyricfind.
No unauthorized reproduction of lyric.

Comments for Street Life: Real Talk of Street lyrics

Name/Nickname
Comment
Copyright © 2004-2024 NET VADOR - All rights reserved. www.paroles-musique.com/eng/
Member login

Log in or create an account...

Forgot your password ?
OR
REGISTER
Select in the following order :
1| symbol at the bottom of the eye
2| symbol to the right of the television
3| symbol to the left of magnifying glass
grid grid grid
grid grid grid
grid grid grid