paroles de chanson / Ravan parole / Wahi Ravan Hu Mai lyrics  | ENin English

Paroles de Wahi Ravan Hu Mai

Interprète Ravan

Paroles de la chanson Wahi Ravan Hu Mai par Ravan lyrics officiel

Wahi Ravan Hu Mai est une chanson en Hindi

ॐ यस्याग्रे द्राट द्राट द्रुट द्रुट ममलमं टंट टंट टटंटम
तैलं तैलं तुतैलं खुखु खुखु खुखुमं खंख खंख ख खंखम
डंसं डंसं डुडंसं डुही डुही चकितं भूपकं भूयनालम्
ध्यायस्ते विप्रगाहे सवसति सवलः पातुवः चंद्रचूड:

Jiya swabhiman me jo wahi danav hu mai
Jisne jeete teeno lok wahi manav hu mai
Sare graho ko hai bandha kara kaal bhi adheen
Mahadev ka jo bhakt wahi mai hi ravan hu

Jiya swabhiman me jo wahi danav hu mai
Jisne jeete teeno lok wahi manav hu mai
Sare graho ko hai bandha kara kaal bhi adheen
Mahadev ka jo bhakt wahi mai hi ravan hu mai

Ravan hu mai wahi ravan hu mai
Ravan hu mai wahi ravan hu mai
Ravan hu ravan hu
Rav rav rav rav
Ra ra ra ra ra ra ra ra ravan hu mai

Vedo ka hai gyan mujhme bhakt mahadev ka
Samne na tikta mere swarg ka koi devta
Mai hi sarv shreshth or mai hi param gyani hu
Itni yogyata hai tabhi thoda abhimaani

Hu mai kaal ka swaroop hai virat mera roop
Mahadev ne diya hai chadrahas mere hath me
Naam ka prakop teeno lok me hai aisa
Mere naam se hai teeno lok thrr thrr kapte

Putra kaikashi ka jo bhi sikha khud se sikha
Hai pasand mujhe jo vishva me vo sara maine jeeta
Nana nani se samksh mera balya kaal beeta
Jaha tantra mantra maya ka prayog maine sikha

Hai na dukhi koi mere samrajya me
Mujhsa na pandit bas danav ka bhesh hai
Swarg jeeta or toda Indra ke ghamand ko
Lanka ka raja Dashanan Lankesh mai

Lanka ka raja Dashanan Lankesh mai
Lanka ka raja Dashanan

Jiya swabhiman me jo wahi danav hu mai
Jisne jeete teeno lok wahi manav hu mai
Sare graho ko hai bandha kara kaal bhi adheen
Mahadev ka jo bhakt wahi mai hi ravan hu mai

Jiya swabhiman me jo wahi danav hu mai
Jisne jeete teeno lok wahi manav hu mai
Sare graho ko hai bandha kara kaal bhi adheen
Mahadev ka jo bhakt wahi mai hi ravan hu

Lakh bura kehte mujhko pr vo ye bhi jante
Behen ke liye mai sidha lad gya bhagwan se
Bhan tha mujhe ke meri mrityu ka sanket hai vo
Fir bhi vair le liya tha maine sidha ram se

Aan ki thi baat tabhi dala maine hath
Tabhi chhal se leke aa gya tha seeta apne sath
Kabhi sparsh na kiya tha maine iccha ke virudh
Kyoki baat vo jo thi vo meri shan ke khilaf

Itna bal tha mujhme ke mai ram ko vivash karu
Ke yudh kshetra me vo apne shashtra dhar hi deta
Mujhpe vijay pana to bhagwan ke bhi vash me na tha
Mera saga bhai mera bhed gar na deta

Kailash ko uthaya maine sath bholenath ke
Bhaar fir badhaya mere nath Bholenath ne
Hath mere dab gye the nath ke us bhar se
Strot gaya maine mere nath ko pukaar ke

Naam ki tareh vo mere shabd bhi amar hue
Bholenath ke liye jo chhand maine gaye the
Mere jaisa yodha or kon hai hua yaha pe
Mai wahi hu jiske vadh ko Prabhu swayam aye the

Mere jaisa yodha or kon hai hua yaha pe
Mai wahi hu jiske vadh ko ram swayam aye the
Mai wahi hu jiske vadh ko ram swayam aye the
Mai wahi hu jiske vadh ko ram swayam aye the

Jiya swabhiman me jo wahi danav hu mai
Jisne jeete teeno lok wahi manav hu mai
Sare graho ko hai bandha kara kaal bhi adheen
Mahadev ka jo bhakt wahi mai hi ravan hu mai

Jiya swabhiman me jo wahi danav hu mai
Jisne jeete teeno lok wahi manav hu mai
Sare graho ko hai bandha kara kaal bhi adheen
Mahadev ka jo bhakt wahi mai hi ravan hu mai

करचरण कृतं वाक्कायजं कर्मजं वा श्रवणनयनजं वा मानसं वापराधं विहितमविहितं वा सर्वमेतत्क्षमस्व जय जय करुणाब्धे श्रीमहादेव शम्भो
Droits parole : paroles officielles sous licence Lyricfind respectant le droit d'auteur.
Reproduction des paroles interdite sans autorisation.
Auteur: Vichitra sain
Copyright: O/B/O DistroKid

Commentaires sur les paroles de Wahi Ravan Hu Mai

Nom/Pseudo
Commentaire
Copyright © 2004-2024 NET VADOR - Tous droits réservés. www.paroles-musique.com
Connexion membre

Se connecter ou créer un compte...

Mot de passe oublié ?
OU
CREER COMPTE
Sélectionnez dans l'ordre suivant :
1| symbole à gauche de la cible
2| symbole en haut du pouce en l'air
3| symbole à gauche de la calculatrice
grid grid grid
grid grid grid
grid grid grid