paroles de chanson / IshanShrivastavaMusic parole / Jeevan lyrics  | ENin English

Paroles de Jeevan

Interprètes IshanShrivastavaMusicAkkathegoatIshan Shrivastava

Paroles de la chanson Jeevan par IshanShrivastavaMusic lyrics officiel

Jeevan est une chanson en Hindi

Jeevan ko pehchana jeevan?
Ya fir bas anjana jeevan?
Jee ke Marjana jeevan?
Kuch haasil Karjana jeevan?
Mrityu se Darjana jeevan?
Ya mirtyu banjana jeevaan?
Jisne jaisa pana jeekar
Waisa usne jana jeevan!

Jeene laga Aisey ke bas jeevan me sirf marna ho
Fir likhne laga geet jaise jeevan kora paana ho
Manata aya sbko ab khuda ko bhi mana lunga
Shaurat bhi kama lunga Bas jeene ki tamanna ho

Jeene ka hi khel sara mrityu sabki ani hai
Tu maut se kyu darta hai Pal bhar ki yeh kahani hai
Zindagi kamani yaha mrityu toh viraasat hai
Mushkil toh bas jeevan hai yeh maut toh suhani hai

Darna toh iss baat ka ke jeekar bhi kya kiya hai
Logo ne yaha se liya lekin tune yah kya diya hai
Ab jeena mujhe Aisey ke zamana bhi kahega
Yah par log toh bas zinda the yeh banda kya hi jiya hai

Haatho me khana
Par kaise pakana hai
Chahiye khazana
Toh kaise kamana hai
Sar ni jhukana
Par rishta nibhana
Yaha Zinda toh saare
Koi jeena ni jana

Yeh jeevan anjana
Toh jeena fasana hai
Mehnat rulana
To manzil hasana hai
Khudko mitana
Fir khudko banana
Mai khud se naraz hu
Khudko manana hai

Shor machana to
Hunar Pehchana hai
Sapno ka pana fir
Paisa Bachana hai
Manzil thikana toh
Har din suhana hai
Khudka Hi Karja toh
Khudko Chukana

Jo mana Wo thana
Fir himmat jhutana
Ho mehnat rozana
Zamana Jhukana hai
Gana bhi gana toh
Gaake machana
Asambhav hai sapna
Yeh Baate bahana hai


Jeevan ko pehchana jeevan?
Ya fir bas anjana jeevan?
Jee ke Marjana jeevan?
Kuch haasil Karjana jeevan?
Mrityu se Darjana jeevan?
Ya mirtyu banjana jeevaan?
Jisne jaisa pana jeekar
Waisa usne jana jeevan!

Jeevan hi satya sara Aur jaise jeevan jhooth hai
Jeevan Jaise pyala pura mrityu uska ghut hai
Rehta yaha koi swarg me koi narq yahi dekhta hai
Maano to yeh manzil aur na mano toh bas route hai

Rukne wala raasta ni haar se koi vasta ni
Paisa bhi jalega uske dhue me koi khasta ni
Baap kaise naachta ni Safal hoke dekh
Tu khudi se ladai kar yeh zindagi hai dastaan ni

Zaya na kar waqt abhi khoob aage jana hai
Tu note toh banalega par chain bhi kamana hai
Sab matlab se jane jate ye matlab ka zamana hai
Tu Khudme mtlab daal mtlab dhundna bahana hai

Hasega zamana tujhe lagega tu sahi nhi
Daud rakhna jaari kyuki tere jaisa kahi nhi
Haasil ho mukaam fir yeh puchenge kaise kiya
Tu man hi man hasega kyuki baat ab wo rahi nhi

Kon tera saath dega konsa dasega
Sab waqt hi batayega tu bhi kabhi fasega
Aas paas hogi bheed pr koi apna ni dikhega
Kabhi gair hoga saath Kabhi saath ka jalega

Fitrat hai zamane ki yeh karenge badnaam tujhe
Bate ho bhadkane ki jab milega sammaan tujhe
Sazish hai jhukane ki toh sazish me nakaam yeh
Bhuk hai kamane ki par laazmi imaan mujhe
Laazmi Imaan mujhe
Laazmi Imaan mujhe
Bhuk Hai Kamane ki par laazmi imaan mujhe.

Jeevan ko pehchana jeevan?
Ya fir bas anjana jeevan?
Jee ke Marjana jeevan?
Kuch haasil Karjana jeevan?
Mrityu se Darjana jeevan?
Ya mirtyu banjana jeevaan?
Jisne jaisa pana jeekar
Waisa usne jana jeevan!
Droits parole : paroles officielles sous licence Lyricfind respectant le droit d'auteur.
Reproduction des paroles interdite sans autorisation.

Commentaires sur les paroles de Jeevan

Nom/Pseudo
Commentaire
Copyright © 2004-2024 NET VADOR - Tous droits réservés. www.paroles-musique.com
Connexion membre

Se connecter ou créer un compte...

Mot de passe oublié ?
OU
CREER COMPTE
Sélectionnez dans l'ordre suivant :
1| symbole en bas de la calculatrice
2| symbole à droite du pouce en l'air
3| symbole à droite du téléviseur
grid grid grid
grid grid grid
grid grid grid