paroles de chanson / Ali Mohammad Sultanpuri parole / Paani lyrics  | ENin English

Paroles de Paani

Interprète Ali Mohammad Sultanpuri

Paroles de la chanson Paani par Ali Mohammad Sultanpuri lyrics officiel

Paani est une chanson en langue indéterminée

Haye sakina(a.s.) haye sakina(a.s.)
Haye yateema haye yateema
Shimr ne khak pe dikhla ke jo phenka pani
Dekhti rah gayi masoom sakina pani

1
Khoon ankhon me utar aya yateema royi
Apni ghurbat pe tadap kar ke wo dukhiya royi
Kar ke rukh der talak janibe dariya royi
Yad saqqa ki bahut ayi sakina royi
Roke deti thi sada dekh lo akar ammu
Ek qatre ke liye khati hun thokar ammu

2
Kaifiyat pyaas ki kaisi thi koi kya jane
Kitni shiddat se wo pyasi thi ye Allah jane
Pyaas ki kon si manzil pe thi dukhiya jane
Ye to bas bali sakina ka kaleja jane
Mashk pani ki jidhar thi wo udhar jati thi
Ghudkiyan shimr jo deta tha to dar jati thi

3
Jisne baalon ko pakad kar ke tamanche mare
Dono Kano n ki lawe n cheer ke chhene bunde
Jisne barsaye yateema pe musalsal durre
Khali kuzeh ko liye ayi jab uske aage
Dar ye kahta tha sakina se na mango pani
Pyaas kahti thi bas ab jald pila do pani

4
Samne shimr ke lekar ke gayi jab kuzah
Dant kar bali sakina ko wo zalim bola
Pahle serab suno sham ka lashkar hoga
Phir ye ummed dilayi ki tumhe bhi dunga
Apne haiwano ko zalim ne pilaya pani
Aur yateema ko dikhakar ke bahaya pani

5
Aas jab tod di bachhi ki sitamgaro n ne
Aur ek zulm kiya badh ke jafakaro n ne
Khainch kar balo n se bekas ko gunah garo n ne
Khak par phenk diya zor se badkaro n ne
Aur ye kahne lage awaz lagao usko
Jis dilawar ki dulari ho bulao usko

6
Wo masaib wo qayamat wo musibat waiz
Kon likhega yateema ki wo ghurbat waiz
Thi ajab dukhtare Shabbir ki halat waiz
Le gayi qabar talak pyaas ki shiddat waiz
Aj tak mujhko riwayat me kahin ye na mila
pani kab aur kanha bali sakina ne piya
Droits parole : paroles officielles sous licence Lyricfind respectant le droit d'auteur.
Reproduction des paroles interdite sans autorisation.

Commentaires sur les paroles de Paani

Nom/Pseudo
Commentaire
Copyright © 2004-2024 NET VADOR - Tous droits réservés. www.paroles-musique.com
Connexion membre

Se connecter ou créer un compte...

Mot de passe oublié ?
OU
CREER COMPTE
Sélectionnez dans l'ordre suivant :
1| symbole en haut de la cible
2| symbole à droite de la loupe
3| symbole en haut du coeur
grid grid grid
grid grid grid
grid grid grid